
Beautiful Love Shayari
Mana ki anmol hasrat-e-nayab hain aap.
Magar hum bhi har dehleez par
mila nahi karte..

Tahzeeb mein bhi uski kya khoob ada thi.
Namak bhi ada kiya to
zakhmon par chhidak kar..

Sookhe hothon se hi hoti hain meethi baatein.
Pyaas bujh jaaye to
lehje badal jaate hain..

Ye bhi ajeeb dukh hai ki poore jahan mein.
Nikla na ek bhi shakhs
mere 'mizaaj' ka..

Na jaane us shakhs ko kaise ye hunar aata hai,
Raat hote hi aankhon
mein utar aata hai..

Tum to kehte the har subah haal poochhenge tumhara,
Badal gaye ho ya
tumhare yahan subah nahi hoti..

Anginat kamiyaan hain mujh mein.
Ek do ginakar khud ko Khuda na
samjho..

Jism ka dil se agar waasta na hota.
Kasam Khuda ki koi haadsa na
hota..

Woh apna yaar banakar kharid lega mujhe.
Haq apna mujh par jatakar
kharid lega mujhe..
Woh jaanta hai ki girvi kahaan kahaan hoon
main.
Woh mera karz chuka kar kharid lega mujhe..

Har insaan tumhare liye haden paar nahi karega.
Gar koi kar raha hai
to kadar karo uski..
Bharosa karke bikte rahe hum, warna keemat
Laga kar kharidna kisi ke
bas ki baat nahi thi..
Badli hui nahi hoon zara si khafa hoon main.
Aisa kahin na sochiye
ki bewafa hoon main..
Chupchaap chal rahe the hum zindagi ke safar mein.
Tum par nazar
padi to hum tharki ho gaye..
Main sun rahi hoon jo duniya suna rahi hai.
Hansi to mujhe apni
khamoshi par aa rahi hai..
Kismat hara de woh alag baat hai dost.
Par gulelon se to kabhi baaz
nahi mara karte..
Hum the thahre hue paani mein chaand ka aks.
Jinko acche lage unhone
bhi patthar maare..
Tere har aib ko be'aib dekha.
Maine apni hi nazron mein ye aib
dekha..

Jugnuon ki aankh mein jaale hue hain.
Soorya ke astitva ko taale hue
hain..
Hain bade mazboot, nadiyaan rok lenge.
Baandh bhi to yahi
vehm paale hue hain..
Usse bada kaarigar humne nahi dekha sahab.
Kaanch sa naazuk dil
patthar bana diya..
Lagaam na laga saki to ilzaam laga diya.
Use maaloom hai main gusse
mein gunaah kar baithoonga..
Hasratein kuch aur, waqt ki iltija kuch aur hai.
Kaun jee saka hai
apne mutaabiq ki zindagi..

Jise kuch nahi chahiye use kharidoge kaise Ghalib.
Sauda usse hota
hai jise apni kuch chahat ho..
Mohabbat ke maaron se na poochho aalam intezaar ka.
Patjhad si hai
zindagi aur khyaal hai bahaar ka..
